Saturday, 20 August 2011

woh shaks.....


woh shaks kaisi baat karta hai...
aankhein aisi jaise sharaab ka pokhar ho..
bahar chhalakne ko jiska
ik ik katra tarasta hai...

andaaz-e-guftaar pe itna yakee'n
ke hazaron jannatein thukraane ki baat karta hai..

bas har do pal mein hoton ka sookhna ik paheli hai..
ke zehan mein jiske ik samandar basta hai...

ik nazar bharke dekhna diwana karde jiska..
aisa kaatil batao kis gaon mein basta hai..

woh shaks kaisi baat karta hai....