Monday, 26 August 2013

तुम्हारे ही कागज़ पे लिखे

तुम्हारी ही कलम है यह,
तुम्हारे ही कागज़ पर लिखे,
अलफ़ाज़ तुम्ही से उधार लिए हैं।
इस नज़्म में बस ख्याल मेरे हैं,
पर वोह भी मेरी उपज नहीं हैं,
वजूद भी इनका तुम्ही से है।

फिर मेरा तोह कुछ रहा नहीं,
और मैं भी मैं अब रहा नहीं।
के मेरा तुझमे खो जाना,
मेरा ही पूरा होना है।

मेरे बदन से तेरे बदन तक,
मेरे ज़हन से तेरे ज़हन तक,
क्या सफ़र था क्या नज़ारा।
..................................
सवाल, शिकायतें, इलज़ाम, रंजिशें,
एक होने की राहत में,
दिल ने सब खारिज करदीं।

एक नज़र से दुनिया देखी
उसी नज़र से खुद को देखा।
कितना अच्छा मंज़र है यह
कितना पाकीज़ा ख्याल है यह।
........................................
पर ख्याल भी तोह मेरा नहीं हैं
और कलम भी नहीं है मेरी।
तुम्हारे ही कागज़ पे लिखे
लफ्ज़ तुम्ही से उधार लिए हैं।
...................................
प्यार करने का वक़्त हुआ है
चलो लिखना अब बंद करते हैं।

Saturday, 3 August 2013

farishta aaj bhi mujhse jalta hai


farishta aaj bhi mujse woh jalta hai....


mujhko jannat le jaane aaya tha....


maine tumhara zikr kiya...


ulte paanv palat gaya...


jaate jaate bol gaya...


tumne saari khudaai dil mein basai hai.....

jis rooh ke aashiq ban baithe ho...


usne tumse pehle jannat thukraai hai...


woh insaa nahi farishta hai, ..


kyun insaano ki duniya mein basta hai....


tumhe bhi apne jaisa bana diya


uske jaise dikhne lage ho


lagta hai tumhe bi farishta bana diya


................................................


ab kya karu, kya unse kahu


naukri meri chali jaayegi


tum toh saath nahi chaloge


aur woh dil se tumhare nahi jayegi


...............................


acha ab main chalta hoon


unhe samjhaane ki koshish karta hoon


phr chala gaya bechara woh


sarkaari paigaam lekar aayatha


::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::


farishta aaj bhi mujse woh jalta hai....


mujhko jannat le jaane aaya tha....


Friday, 2 August 2013


Thoda dhool uchaal, aankh mein matti daal,
nazron se nazrein mila
ped nahi pauda hu, par hila ke dikha

tere liye jo dhandha hai, woh meri ibaadat hai
tu woh kar jo teri havas hai
aur main wo jo mera hunar hai
deewarein beshak kamzor hain iski
ibaadatgaah tu par yeh hila ke dikha

shehar mein aaye chhe mahine hue hain “
par shehri banne mein che din lagte hain
aur itna khel toh main bhi samajhta hoon
himmat ki koi kammi nahi hai
par murdo se ladna bhi koi himmat nahi hai

Main beshak tera gulaam hota
mera mukkadar jo tere haath mein hota
tere dikhaye raaste pe chalna
bhatakna se behtar to nahi
kyun na main fir apne dil ki suno
Ke agar kamyaab na bhi banu,
toh khud se nazrein toh mila sakuu’n

isliye yeh khilafatnaama likh raha hoon mein”
tujhe khabar nahi shaayad
kuch dino se bagaavat ki tayyari mein hoon mein