Saturday, 3 August 2013

farishta aaj bhi mujhse jalta hai


farishta aaj bhi mujse woh jalta hai....


mujhko jannat le jaane aaya tha....


maine tumhara zikr kiya...


ulte paanv palat gaya...


jaate jaate bol gaya...


tumne saari khudaai dil mein basai hai.....

jis rooh ke aashiq ban baithe ho...


usne tumse pehle jannat thukraai hai...


woh insaa nahi farishta hai, ..


kyun insaano ki duniya mein basta hai....


tumhe bhi apne jaisa bana diya


uske jaise dikhne lage ho


lagta hai tumhe bi farishta bana diya


................................................


ab kya karu, kya unse kahu


naukri meri chali jaayegi


tum toh saath nahi chaloge


aur woh dil se tumhare nahi jayegi


...............................


acha ab main chalta hoon


unhe samjhaane ki koshish karta hoon


phr chala gaya bechara woh


sarkaari paigaam lekar aayatha


::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::


farishta aaj bhi mujse woh jalta hai....


mujhko jannat le jaane aaya tha....


No comments:

Post a Comment