Monday, 30 April 2012

Ehtiyaat...!!!

Mein munkar nahi k tere misre mein jaan bahut hai...
mein bin makaan hoon, par baaki imaan bahut hai...!!!

Tujhe nawaza gaya tha, daulat-e-mukaddar se,
teri uchayion ko salaam....
Par ab sambhal ke chalna...in raaston pe dhalaan bahut hai..!!

Teri shohrat se garz nahi, teri shaan ki parvaah hai..
..zara gaur kar!!
Beghar hue, dar-badar hue,
jo mashhoor hue, yahaan woh badnaam bahut hain....!!!

 

Sunday, 22 April 2012

saahil dekh ke ik bewafa wafa sikha rahi hai..
jo khud kinare na lagi, lehron se ladna sikha rahi hai..!!
jisne kabhi samjha na ik 'aah' ka matlab...
woh intezaar mein chupa mazza samjha rahi hai..!!!! 

Saturday, 21 April 2012

Jayaz hai shayad..!!!!


Kehna zaroori hai aur nahi bhi shayad,
Woh samajhti hai aur nahii bhi shayad…!


Kab tak chalegi koshish…badii mushkil paheli hai
Ruk jaana waajib hai, yaa chalte rehna shaayad…!

Ik arse se jiski ki ho hifaazat…                                                                                                    
Uski malkiyat kisi aur ko dena, 
ke aasaa'n nahii, bada mushkil hai shayad…!


khamoshi nakaami hai ya bebasi saahil 
beshart mohabbat hai, ya koi dar hai shayad…!

Jawab Dekar sawaal ka matlab poochne ko kya kahiye..
yeh masumiyat hai ya kapti fitrat hai shayad…!


Paimane bahut hain yu toh insaa’n ko parakhne ke 
baat mohabbat ki ho..thoda kamzarf hojana jaayaz hai shayad…!!!


Uska saath bheegna hai an'ginat sawaalon ki baarish mein 
sab kuch kehna aur kuch bhi na kehna mumkin hai shaayd..!!


Har koi yeh tasveer dekhke yehi mashwarah deta hai..
ke door hona zaroori hai aur samjhauta bhi shayad…!!

Uska kehna hai yeh ik daur hai…guzar jaayega jald hi..
par tamaam zindagi ka ik daur hojaana…mumkin hai shaayad..!!



Monday, 16 April 2012

Hawayein afwaah failaa rahii hai'n

ke kisi ki raatein beneend ho rahi hain...!!!