Kehna zaroori
hai aur nahi bhi shayad,
Woh samajhti hai aur nahii bhi shayad…!
Kab tak chalegi
koshish…badii mushkil paheli hai
Ruk jaana waajib hai, yaa chalte rehna shaayad…!
Ik arse se jiski
ki ho hifaazat…
Uski malkiyat kisi aur ko dena,
ke aasaa'n nahii, bada mushkil hai shayad…!
khamoshi nakaami hai
ya bebasi saahil
beshart mohabbat hai, ya koi dar hai shayad…!
Jawab Dekar sawaal ka matlab poochne ko kya kahiye..
yeh masumiyat hai ya kapti fitrat hai shayad…!
Paimane bahut
hain yu toh insaa’n ko parakhne ke
baat mohabbat ki ho..thoda kamzarf hojana jaayaz hai shayad…!!!
Uska saath bheegna
hai an'ginat sawaalon ki baarish mein
sab kuch kehna aur kuch bhi na kehna mumkin hai shaayd..!!
Har koi yeh
tasveer dekhke yehi mashwarah deta hai..
ke door hona zaroori hai aur samjhauta bhi shayad…!!
Uska kehna hai yeh ik daur hai…guzar jaayega jald hi..
par tamaam zindagi ka ik daur hojaana…mumkin hai shaayad..!!

bahut umda...!!!
ReplyDelete