Sunday, 26 June 2011

kashmakash....!!

ik naye manzar ki aur badta ja raha hoon mein
rok raha hoon kadam..par nakaam khud ko paa raha hooon mein..

dooriyan kaayam rahein mein khush hoon...
par faasle bhi kam kiye jaa raha hoon mein

duniya walon ki niyat se wakif bhi hoon..
fir bhi zamane ko nazrandaaz kiye ja raha hoon mein

mitti udkar aankhon mein pad jati hai aksar..
adhkhuli aankhon se hi safar tayy karta ja raha hoon mein

shayad us aur toofaan utha hi na ho...
aur lehron se ladta jaa raha hoon mein

ik kashmakash mein giraftar ho gaya hoon mein
bin patvar ki kashti pe sawaar ho gaya hoon mein

ab lehron ke hath manzil ka hai faisla
har lehar humsafar bana raha hoon mein..

manzil kareeb ho na ho, main jaanta nahi
par khud se door hota jaa raha hoon mein..
khud se door hota ja raha hoon mein...!!!

No comments:

Post a Comment