वोह जो अँधेरे में खंजर चलाकर
दिन में मरहम लगाने आते हैं
मैं वाकिफ हूँ उनसे।
वोह जो एक कचहरी में
मेरे खिलाफ गवाही देकर
दूसरी में मेरा मुकद्दमा लड़ने आते हैं
मैं वाकिफ हूँ उनसे।
वोह जो चिल्ला चिल्लाकर
दोस्ती की कसमें खाते हैं
और मन ही मन बैर रखते हैं
मैं वाकिफ हूँ उनसे।
वोह जो मेरा घर तोड़ने की बेजोड़ कोशिश में
रात दिन एक करते हैं
और घर टूटने पे अफ़सोस करने आते हैं ..
मैं वाकिफ हूँ उनसे।
मैं वाकिफ हूँ उनसे।
(Main waakif hoon unse)
Woh jo andhere mein khanjar chalaakar
din mein marham lagaane aate hain
main waakif hoon unse!
woh jo ek kachehri mein
mere khilaaf gawaahi dekar
doosri mein mera mukaddma ladne aate hain
main wakif hoon unse!
Woh jo chilla chillakar "
dosti ki kasmein khaate hain
aur man hi man bair rakhte hain
main waakif hoon unse!
woh jo mera ghar todne ki bejod koshish mein
raat din ek karte hain
aur ghar tootne pe afsos karne aate hain
main waakif hoon unse !